Parveen Shakir

Ab Kaisi Pardah-Daari , Khabar Aam Ho Chuki
Maa Ki Rida Tou, Din Howe, Neelaam Ho Chuki

Ab Aasmaa.n Se Chadar-e Shab Aaye Bhi Tou Kiya
Be-Chadari Zameen Pe iLzaam Ho Chuki

Ujrey Howe Diyaar Pe Phir Kiun Nigah Hai
Is Kasht Per Tou Barish-e-Ikraam Ho Chuki

Sooraj Bhi Os Ko Dhoond Ke Wapas Chala Gaya
Ab Ham Bhi Ghar Ko Lout Chalain Shaam Ho Chuki

Shimley Sambhaaltey Hee Rahay Maslehat Pasand
Hona Tha Jis Ko Pyaar Main Bad-Naam Ho Chuki

Aankhain Hain Aur Subha Talak Tera Intezaar
Mishal Bad’dast Raat Terey Naam Ho Chuki

Koh-e-Nida Se Bhi Sukhan Utrey Agar, Tou Kiya
Na-Sameoo.n Main Hurmat-e-iLhaam Ho Chuki



Parveen Shakir


Parveen Shakir

Rasta hi neya hai, na main anjaan bohat hoon,
Phir kuye’malaamat mein hoon, nadaan bohat hoon,
Ik umar jisey khawab ki manind hi dekha,
Chooney ko mila hai to pareshaan bohat hoon,
Mujh mein kabhi aahat ki tarah se koi aye,
Ik band gali ki tarah sunsaan bohat hoon,
Uljhen ke keyi baar abhi lafz se mafhoom,
Saada hai bohat woh, na main asaan bohat hoon..

Parveen Shakir


Parveen Shakir

Marney se bhi pehle mar gaye they,
Jeeney se kuch aese dar gaye they,
Rastey mein jahan talak diye they,
Saarey mere hamsafar gaye they,
Aankhain abhi khul nahin saki thi’n,
Aur khawb mere bikhar gaye they,
Jab tak na khila tha us ka waada,
Mausam mere be’samar gaye they,
Ab tak wohhi nasha e paziraayi*,
Kya jaaniye hum kidhar gaye they..

Parveen Shakir


Parveen Shakir

Darwaza jo khola to nazar aaye kharre woh,
Hairat hai mujhe, aaj kidhar bhool parre woh,
Bhoola nahin dil, hijr ke lamhaar karray woh,
Raatein to barri theen hi, Magar din bhi barre woh,
Kyun jaan pe ban aayi hai bigrra hai agar woh,
Uss ki to yeh aadat ke hawaaon se larre woh,
Alfaaz they us ke ke bahaaron ke peyamaat,
Khushbuu si barasney lagi, yoon phool jharre woh,
Har shakhs mujhe tujhse juda karne ka hwa’haan,
Sun paaye agar aik to dass ja ke jarre woh,
Bachey ki tarah chaand ko choonay ki tammana,
Dil ko koi shay dede to kya kya na array woh,
Tufaan hai to kya gham, mujhe awaz to di jiye,
Kya bhool gaye aap mere kachay gharre woh..

Parveen Shakir


Parveen Shakir

Sundar, komal sapnon ki baraat guzar gayi jaana,
Dhoop ankhon tak aa pohanchi hai, raat guzar gayi jana,
Bhanwar samay tak jis ne humain baaham uljhaaye rakha,
Woh albeli resham aesi baat guzar gayi jaana,
Sadaa ki dekhi raat humain is baar mili to chupkay se,
Khaali hath pe rakh ke kya soghaat guzar gayi jaana,
Kis kompal ki aas mein ab tak wese hi sarsabz ho tum,
Ab to dhoop ka mausam hai, barsaat guzar gayi jaana..

Parveen Shakir


Parveen Shakir
1952-1994
Poetries : 108
Parveen Shakir was a legendary female poet who started her professional career in her childhood. Her first book was “Khushbu”. Then she came up with other books named Sad-Barg, Khud’kalaami, and Inkar. Sadly, she died in a car accident while she was going to work in 1994.
We are always willing to add more and more poetry of her, so keep coming back for new poetry.

Jobsmag.inIndian Education BlogThingsGuide